Zaroori Tha Lyrics - Rahat Fateh Ali Khan / ज़रूरी था
ZAROORI THA LYRICS:
Lafz Kitne Tere Pairon Se Lipte Honge
Tune Jab Aakhri Khat Mera Jalaya Hoga
Tune Jab Phool Kitaabon Se Nikaale Honge
Dene Waala Bhi Tujhe Yaad Toh Aaya Hoga
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi
Bichhadna Bhi Zaroori Tha
Zaroori Tha Ke Hum Dono
Tawafein Aarzoo Karte
Magar Phir Aarzuon Ka
Bikharna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha
Bataao Yaad Hai Tumko
Woh Jab Dil Ko Churaya Tha
Churaayi Cheez Ko Tumne
Khuda Ka Ghar Banaya Tha
Woh Jab Kehte Thhe
Mera Naam Tum Tasbih Mein Padhte Ho
Mohabbat Ki Namaazon Ko
Kaza Karne Se Darte Ho
Magar Ab Yaad Aata Hai
Woh Baatein Thi Mahez Baatein
Kahin Baaton Hi Baaton Mein
Mukarna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha
Wahi Hai Sooratein Apni
Wahi Main Hoon Wahi Tum Ho
Magar Khoya Huaa Hoon Main
Magar Tum Bhi Kahin Gum Ho
Mohabbat Mein Daga Ki Thi
So Kaafir The So Kaafir Hain
Mili Hain Manzilein Phir Bhi
Musaafir Thhe Musaafir Hain
Tere Dil Ke Nikaale Hum
Kahaan Bhatke, Kahaan Pahunche
Magar Bhatke Toh Yaad Aaya
Bhatakna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi
Bichhadna Bhi Zaroori Tha
Zaroori Tha Ke Hum Dono
Tawafein Aarzoo Karte
Magar Phir Aarzuon Ka
Bikharna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha.
ZAROORI THA LYRICS IN HINDI:
लफ्ज़ कितने ही तेरे पैरों से लिपटे होंगे
तूने जब आख़िरी खत मेरा जलाया होग
तूने जब फूल किताबों से निकाले होंगे
देने वाला भी तुझे याद तो आया होगा
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था
मोहब्बत भी ज़रूरी थी
बिछड़ना भी ज़रूरी था
ज़रूरी था की हम दोनों
तवाफ़े आरज़ू करते
मगर फिर आरज़ूओं का
बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था….
संगीत
बताओ याद है तुमको
वो जब दिल को चुराया था
चुराई चीज़ को तुमने
ख़ुदा का घर बनाया
वो जब कहते थे
मेरा नाम तुम तस्बीह में पढ़ते हो
मोहब्बत की नमाज़ों को
कज़ा करने से डरते हो
मगर अब याद आता है
वो बातें थी महज़ बातें
कहीं बातों ही बातों में
मुकरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था
संगीत
वही हैं सूरतें अपनी
वही मैं हूँ, वही तुम हो
मगर खोया हुआ हूँ मैं
मगर तुम भी कहीं गुम हो
मोहब्बत में दग़ा की थी
सो काफ़िर थे सो काफ़िर हैं
मिली हैं मंज़िलें फिर भी
मुसाफिर थे मुसाफिर हैं
तेरे दिल के निकाले हम
कहाँ भटके कहाँ पहुंचे
मगर भटके तो याद आया
भटकना भी ज़रूरी था
मोहब्बत भी ज़रूरी थी
बिछड़ना भी ज़रूरी था
ज़रूरी था की हम दोनों
तवाफ़े आरज़ू करते
मगर फिर आरज़ूओं का
बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था.
ZAROORI THA SONG INFORMATION
“Zaroori Tha Lyrics” are From Album “Back 2 Love” This Bollywood music video. Was released worldwide on 9 Jun 2014 on YouTube. “Lyrics Of Zaroori Tha” written by Khalil-Ur-Rehman Qamar. The song “Zaroori Tha” Composed by music composer Sahir Ali Bagga. The song label by Ustad Rahat Fateh Ali Khan PME.The song “Zaroori Tha” sung by singer Rahat Fateh Ali Khan. Starting Kushal Tandon, Gauhar Khan And Rahat Fateh Ali Khan.
ZAROORI THA LYRICAL VIDEO
ZAROORI THA SONG CREDITS:
Song / गीत : Zaroori Tha
Album / फिल्म : Back 2 Love
Lyricist / गीतकार : Khalil-Ur-Rehman Qamar
Singer / गायक : Rahat Fateh Ali Khan
Composer / संगीतकार Sahir Ali Bagga
Label / लेबल : Ustad Rahat Fateh Ali Khan PME
Cast / कलाकार : Kushal Tandon, Gauhar Khan And Rahat Fateh Ali Khan
Release Date / रिलीज़ की तारीख : on 9 Jun 2014.
Post a Comment
Post a Comment